jabr-e-shahī kā sirf baġhāvat ilaaj hai
apnā azal se ek husainī mizāj hai
aage to zahr-e-ishq meñ sab zahr the ghule
ab shā.irī kī jaan rag-e-ehtijāj hai
aalī nazar ke sher pe tīkhe mubāhise
be-nūr ālimoñ kā maraz lā-ilāj hai
har aan haiñ dimāġh meñ afkār-e-shab-navāz
is ġham kī saltanat meñ bas ik dil sirāj hai
kyā dī hai lab-kushā.ī kī qīmat use bhī dekh
is daftar-e-navā meñ sabhī indirāj hai
is soñdhī miTTiyoñ ne diyā rañg o zā.iqa
hīroñ se baḌh ke aab meñ mulkī anaaj hai
'iqbāl' kī navā se musharraf hai go 'na.īm'
urdu ke sar pe 'mīr' kī ġhazloñ kā taaj hai