Hasan Naim

husn ke sehr o karamat se ji Darta hai

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
husn ke sehr o karāmāt se jī Dartā hai
ishq kī zinda rivāyāt se jī Dartā hai
maiñ ne maanā ki mujhe un se mohabbat na rahī
ham-nashīñ phir bhī mulāqāt se jī Dartā hai
sach to ye ki abhī dil ko sukūñ hai lekin
apne āvāra ḳhayālāt se jī Dartā hai
itnā royā huuñ ġham-e-dost zarā sā hañs kar
muskurāte hue lamhāt se jī Dartā hai
jo bhī kahnā hai kaho saaf shikāyat hī sahī
in ishārāt-o-kināyāt se jī Dartā hai
hijr kā dard na.ī baat nahīñ hai lekin
din vo guzrā hai ki ab raat se jī Dartā hai
kaun bhūlā hai 'na.īm' un kī mohabbat kā fareb
phir bhī in taaza ināyāt se jī Dartā hai
Top Urdushayar.com