kū-e-rusvā.ī se uTh kar daar tak tanhā gayā
mujh se jīte-jī na dāman ḳhvāb kā chhoḌā gayā
kyā bisāt-e-ḳhār-o-ḳhas thī phir bhī yuuñ shab-bhar jale
dosh par bād-e-sahar ke duur tak sho.alā gayā
ruuh kā lambā safar hai ek bhī insāñ kā qurb
maiñ chalā barsoñ to un tak jism kā saayā gayā
kis ko be-gard-e-masāfat shauq kī manzil milī
naġhma-gar kī ḳhalvatoñ tak bār-hā naġhmā gayā
kaun mujh ko DhūñDhtā thā kuchh patā chaltā nahīñ
bazm-e-ḳhūbāñ meñ hazāroñ baar maiñ aayā gayā
ham vo shā.er ki sunāte haiñ surūd-e-jāñ 'hasan'
ek bhī sho.ala-nafas mahfil meñ gar dekhā gayā
mil ga.e jab nirā-dishvar dasht-e-ġhurbat meñ 'na.īm'
ik nayā rishta azīmābād se joḌā gayā