Imdad Ali Bahr

buto KHuda pe na rakkho moamla dil ka

Imdad Ali Bahr

1810-1878
buto ḳhudā pe na rakkho mo.āmla dil kā
burā-bhalā yahīñ ho jaa.e faisla dil kā
butoñ se hai muta.alliq mo.āmla dil kā
ḳhudā hai hashr meñ bhī ho jo faisla dil kā
chalo balā se agar hai ye āstīn kā saañp
baġhal meñ paal ke maiñ kyā karūñ gila dil kā
ḳhayāl-e-zulf meñ siine pe saañp loTte haiñ
dahān-e-mār kā chhālā hai aabla dil kā
sunūñ tumhārī ki apnī kahūñ haqīqat-e-hāl
tumheñ hai merī shikāyat mujhe gila dil kā
ḳhudā ye nāla-o-fariyād sāz-vār kare
ki dil-lagī hai hamārī ye mashġhala dil kā
bhaTak ke koī gayā dair ko koī ka.abe
ajiib bhūl-bhulayyāñ hai marhala dil kā
maiñ ishq-e-qad meñ alif khīñch kar huā huuñ faqīr
maiñ zulf-e-yār se rakhtā huuñ silsila dil kā
kisī ke zulf ne barham kiye haiñ hosh-o-havās
luTā hai shaam ke raste meñ qāfila dil kā
ḳhizāñ-rasīdoñ ko bāġh-o-bahār se kyā kaam
na ab vo josh-e-tabī.at na valvala dil kā
zamāna aur hai aubāshiyoñ kā vaqt nahīñ
na vo mizāj hamārā na hausla dil kā
ye kis sanam kī mohabbat meñ martaba paayā
huā jo arsh-e-ḳhudā se muqābla dil kā
kamāl yaar ke hāthoñ jalā huuñ meñ ai 'bahr'
hathelī kā hai phapholā ye aabla dil kā
Top Urdushayar.com