Hasan Naim

KHurshid ki nigah se shabnam ko aas kya

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
ḳhurshīd kī nigāh se shabnam ko aas kyā
tasvīr-e-rozgār se dil hai udaas kyā
shohrat kī gard ḳhvāb ke tūfāñ ġhamoñ kī dhuul
in ke sivā hai aur zamāne ke paas kyā
TuuTā na zor-e-ġham na zamāne kā sar jhukā
niklegī vasl-e-yār se dil kī bhaḌās kyā
ham ko kitāb-e-zīst kā har baab hifz hai
ik bāb-e-ġham kā sirf paḌheñ iqtibās kyā
nikle haiñ zahr karb meñ bujh kar tamām lafz
gholeñ subū-e-sher meñ ġham kī miThās kyā
jin kī nazar meñ hech hai tāj-e-hunar 'na.īm'
un ke huzūr maiñ kyā mirī iltimās kyā
Top Urdushayar.com