ummīd o yaas ne kyā kyā na gul khilā.e haiñ
ham ābshār ke badle sarāb laa.e haiñ
havā hai garm udāsī kā zard manzar hai
sabhī daraḳht harī koñpleñ chhupā.e haiñ
kaTe haiñ paañv to hāthoñ ke bal chale uTh kar
misāl-e-mauj tire ham-kanār aa.e haiñ
jahāñ dikhā.ī na detā thā ek Tiila bhī
vahāñ se log uThā kar pahāḌ laa.e haiñ
na ek buuñd ināyat na phuul bhar ḳhushbū
ye kis dayār ke bādal qafas pe chhā.e haiñ
kise hunar kā sila chāhiye magar kuchh log
kahāñ kahāñ se na patthar uThā ke laa.e haiñ
azal se ham ko 'hasan' intizār-e-sabza hai
jale haiñ baaġh to paude na.e lagā.e haiñ