Hasan Naim

main ghazal ka harf-e-imkan masnawi ka KHwab hun

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
maiñ ġhazal kā harf-e-imkāñ masnavī kā ḳhvāb huuñ
apnī sab rūdād likhne ke liye betāb huuñ
maiñ babūloñ kī tarah phūlā-phalā huuñ dasht meñ
abr aa.e yā na aa.e maiñ sadā shādāb huuñ
mauj-e-sahbā huuñ agar hai zarf yārāñ aa.ina
kuchh ġhubār aa.e nazar to sar-ba-sar girdāb huuñ
maiñ huuñ ik vīrāñ sitāra-gar hai koī nā-shanās
koī hai raushan-nazar to chashma-e-mahtāb huuñ
kyā samajh kar mujh se uljhe haiñ 'hasan' lail-o-nahār
aap apnā roz-o-shab huuñ aap ālam-tāb huuñ
Top Urdushayar.com