rashk apnoñ ko yahī hai ham ne jo chāhā milā
bas hamīñ vāqif haiñ kyā māñgā ḳhudā se kyā milā
jis zamīñ pe merā ghar thā kyā mahal uTThā vahāñ
maiñ jo lauTā huuñ to ḳhāk-e-dar na ham-sāya milā
dekhiye kab tak mile insān ko rāh-e-najāt
laakh barsoñ meñ to vīrāñ chāñd kā rasta milā
har safar ik aarzū hai varna sair-e-dasht meñ
kis ko shahzādī milī hai kis ko shahzāda milā
sab purāne daaġh dil hī meñ rahe āḳhir 'na.īm'
har na.e dukh meñ na pichhle dukh se chhuTkārā milā