koh ke siine se āb-e-ātashīñ laatā koī
is navā-e-āgahī ko Duub kar gaatā koī
dekhtā mastī kā sañgam lab hai yā guftār hai
jaam se mere jo apnā jaam Takrātā koī
bādaloñ kī tarah aayā barq-āsā chal diyā
chāñd kī mānind shab bhar to Thahar jaatā koī
husn kā dil se ta.alluq dā.imī hai garm hai
varna kis kā kis se hai rishta koī naatā koī
māñgne ko maañg leñ ash.ār-e-ġham se dilkashī
mil nahīñ saktā hai un ko fikr sā daatā koī
nāzish-e-fardā mirā husn-e-taġhazzul hai 'hasan'
rañj hotā aaj gar kuchh qadr farmātā koī