na mere ḳhvāb ko paikar na ḳhadd-o-ḳhāl diyā
bahut diyā to mujhe mauqa-e-visāl diyā
milā na ruuh na dil kā koī hisāb magar
ye kār-e-zīst kisī taur se sambhāl diyā
tamām-umr kī bechainiyoñ se kuchh na huā
mire junūñ ko ḳhirad kah ke us ne Taal diyā
kisī nigāh ne ummīd ko diyā chehra
kisī shabīh ne sab se hasīñ ḳhayāl diyā
mire uyuub kī tasvīr is tarah khīñchī
mire hunar ko pas-e-pusht us ne Daal diyā
ka.ī ḳhayāl jo āvāra-ḳhū the sarkash the
unheñ bhī sher ke sāñche meñ ham ne Dhaal diyā
usī ne sar pe biThāyā thā jis ne aaj 'na.īm'
samajh ke paañv kā kāñTā mujhe nikāl diyā