ġham se bikhrā na pā.emāl huā
maiñ to ġham se hī be-misāl huā
vaqt guzrā to mauja-e-gul thā
vaqt Thahrā to māh-o-sāl huā
ham ga.e jis shajar ke saa.e meñ
us ke girne kā ehtimāl huā
bas ki vahshat thī kār-e-duniyā se
kuchh bhī hāsil na hasb-e-hāl huā
sun ke īrān ke na.e qisse
kuchh ajab sūfiyoñ kā haal huā
jaane zindāñ meñ kyā kahā us ne
jis kā kal raat intiqāl huā
kis liye zulm hai ravā is dam
jis ne pūchhā vo pā.emāl huā
jis ta.alluq pe faḳhr thā mujh ko
vo ta.alluq bhī ik vabāl huā
ai 'hasan' neza-e-rafīqāñ se
sar bachānā bhī ik kamāl huā