ḳhūb-rū sab haiñ magar hūrā-shamā.il ek hai
aur mah-pāra haiñ lekin māh-e-kāmil ek hai
haq-ta.ālā us ke zulfoñ se bachā.e al-hazar
sāmnā hai do balāoñ kā mirā dil ek hai
kaun sā rāhat-rasāñ ma.ashūq hai āfāq meñ
dūsrā bhī āfat-e-jāñ hai jo qātil ek hai
maiñ taḌaptā huuñ to kahte haiñ asīrān-e-qafas
zaḳhm-ḳhurda ham giraftāroñ meñ bismil ek hai
jis kā jī chāhā chalā aayā baġhair az ittilā.a
aap kī sarkār meñ bāzār-o-mahfil ek hai
sham.a chaltī hai to parvāne bhī jal jaate haiñ saath
vaah kyā in āshiq-o-māshūq kā dil ek hai
rind-o-zāhid donoñ pūchheñge barābar dekhnā
tafarqe un meñ dorāhe tak hai manzil ek hai
us kī zulfoñ kā tasavvur hai jo har dam dil-nashīñ
maiñ samajhtā huuñ ki do lailā haiñ mahmil ek hai
jo muārrif kāmiloñ ke thī agar hotī vo aaj
ham ko bhī kahte ye apnī fan meñ kāmil ek hai
'bahr' apnī bhī fasāhat jānte haiñ ahal-e-fahm
dūsre ham haiñ agar sahbān-o-i.l ek hai