kisī habīb ne lafzoñ kā haar bhejā hai
basā ke itr meñ dil kā ġhubār bhejā hai
huī jo shaam to apnā libās pahnā kar
shafaq ko jaise dam-e-intizār bhejā hai
kisī ne Dūbtī sub.hoñ taḌaptī shāmoñ ko
ġhazal ke jaam meñ shab kā ḳhumār bhejā hai
sajā ke dāman-e-gul ko sharāra-e-nam se
kisī ne tāj-e-dil-e-dāġhdār bhejā hai
kise bulāne ko is lāla-e-vafā ne 'hasan'
sabā ko merī taraf baar baar bhejā hai