jab kabhī mere qadam sū-e-chaman aa.e haiñ
apnā dukh dard liye sarv o saman aa.e haiñ
paañv se lag ke khaḌī hai ye ġharīb-ul-vatanī
us ko samjhāo ki ham apne vatan aa.e haiñ
jhaaḌ lo gard-e-musarrat ko biThā lo dil meñ
bhūle-bhaTke hue kuchh ranj o mehan aa.e haiñ
jab lahū ro.e haiñ barsoñ to khulī zulf-e-ḳhayāl
yuuñ na is naag ko lahrāne ke fan aa.e haiñ
kuchh ajab rañg hai is aan tabī.at kā 'na.īm'
kuchh ajab tarz ke is vaqt suḳhan aa.e haiñ