āñkhoñ meñ bas rahā hai adā ke baġhair bhī
dil us ko sun rahā hai sadā ke baġhair bhī
khilte haiñ chand phuul bayābāñ meñ be-sabab
girte haiñ kuchh daraḳht havā ke baġhair bhī
maiñ huuñ vo shāh-baḳht ki darbār-e-husn meñ
chaltā hai apnā kaam vafā ke baġhair bhī
munsif ko sab ḳhabar hai magar boltā nahīñ
mujh par huā jo zulm sazā ke baġhair bhī
bandoñ ne jab se kaam sambhālā hai dahr kā
nāzil hai roz qahr ḳhudā ke baġhair bhī
urdu ġhazal ke dam se vo tahzīb bach ga.ī
miTne kā jis ke gul thā fanā ke baġhair bhī