vo kaj-nigāh na vo kaj-shi.ār hai tanhā
bas ik payambar-e-jannat-nisār hai tanhā
na bulbuloñ kī azaañ hai na titliyoñ kā tavāf
abhī chaman meñ gul-e-nau-bahār hai tanhā
uThā.e minnat-e-sarsar ki nāz-e-bād-e-nasīm
har ek haal meñ sahrā shikār hai tanhā
falak nujūm se raushan zamīñ charāġhoñ se
hujūm-e-nūr meñ ik shām-e-tār hai tanhā
jamī hai bazm-e-masarrat ġhazāl-chashmoñ se
jise milī hai nazar ashk-bār hai tanhā
hamīñ ne ḳhema-e-hijrāñ meñ kaaT diiñ rāteñ
hamīñ ko fikr thī behad ki yaar hai tanhā
chahal-pahal hai bahut yuuñ to mai-kade meñ 'na.īm'
miyān-e-jām-o-subū bāda-ḳhvār hai tanhā