milā na kaam koī umr-bhar junūñ ke sivā
tamām aish mayassar rahe sukūñ ke sivā
lagī vo aag ki dīvār-o-dar bhī chal nikle
koī muqīm nahīñ ghar meñ ab sutūñ ke sivā
maiñ us ke jism kī bekal pukār sun bhī chukā
ab us kī aañkh meñ rakkhā hai kyā fusūñ ke sivā
paḌī vo dhuup ki sab rañg paḌ ga.e piile
bachā nahīñ hai koī surḳh mere ḳhuuñ ke sivā
tamām fan kī binā madd-o-jazr dil hai 'na.īm'
ki sher-o-naġhma meñ kyā mauj-e-andrūñ ke sivā