lutf-e-āġhāz milā lazzat-e-anjām ke ba.ad
hausla dil kā baḌhā koshish-e-nākām ke ba.ad
ab ḳhudā jaane tujhe bhī hai ta.alluq ki nahīñ
log lete haiñ mirā naam tire naam ke ba.ad
mai-kada thā to vahīñ roz chalā jaatā thā
ab kahāñ koī Thikānā hai mirā shaam ke ba.ad
koī aayā hī nahīñ kū-e-vafā tak varna
kuchh bhī mushkil nahīñ ye raah do ik gaam ke ba.ad
ek do ghūñT bahut talḳh hai mai kī lekin
lutf aa.egā tujhe shaiḳh do ik jaam ke ba.ad
vaqt kaTtā rahā kaTtī rahīñ rāheñ lekin
ham ne muḌ muḌ ke tumheñ dekhā har ik gaam ke ba.ad
kuchh to saaqī se gila hogā 'hasan' ko varna
kaun mai-ḳhāne se uThtā hai do ik jaam ke ba.ad