Hasan Naim

kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the

Hasan Naim

Patna, Bihar, India

1927-1991
kuchh usūloñ kā nasha thā kuchh muqaddas ḳhvāb the
har zamāne meñ shahādat ke yahī asbāb the
koh se nīche utar kar kañkarī chunte haiñ ab
ishq meñ jo aabjū the jañg meñ sailāb the
saaz o sāmāñ the zafar ke par vo shab meñ luT ga.e
ḳhaak o ḳhuuñ ke darmiyāñ kuchh ḳhvāb kuchh kam-ḳhvāb the
kyā dam-e-ruḳhsat nazar aate ḳhutūt-e-dilbarī
naqsh the us chāñd ke lekin ba-shakl-e-āb the
maiñ udū kī justujū meñ thā ki ik patthar lagā
muḌ ke dekhā to sināñ taane hue ahbāb the
the bahut nāyāb vo nūr-e-qalam zor-e-bayāñ
shola uTThā jab junūñ kā phir vahī nāyāb the
kyā firāq o faiz se lenā thā mujh ko ai 'na.īm'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh na.e ādāb the
Top Urdushayar.com