bichhḌeñ to shahar bhar meñ kisī ko pata na ho
tum ko bhī kuchh malāl hameñ bhī gilā na ho
majlis ki ḳhvāb-gāh jahāñ bhī nazar milī
un ko yahī thā ḳhauf koī dekhtā na ho
jin hādsoñ kī aag se dāmān-e-dil jalā
mumkin nahīñ charāġh-e-suḳhan bhī jalā na ho
merī ġhazal meñ jaisā tarannum hai soz hai
akasr huā gumāñ ki usī kī sadā na ho
un se alag huā to yahī fikr hai 'na.īm'
un kā tapāk-o-mehr kahīñ vāqi.a na ho