Imdad Ali Bahr

furqat ki aafat bure din kaTna sal hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
furqat kī aafat bure din kāTnā saal hai
ye haath hai so kare ye siina ghaḌiyāl hai
rotā huuñ shām-o-sahar TukḌe hai ġham se jigar
bedard kuchh rahm kar merā burā haal hai
bechain kahāñ dil-e-sāmāñ yāqūb kā hai maqāl
jins-e-vafā kā hai kaal kan.ān meñ haT-tāl hai
resham ke lachchhe haiñ baal maḳhmal ke TukḌe haiñ gaal
hai ye nazākat kā haal patlī kamar baal hai
āshiq bache tā-ba kī kaalī balā hai ye shai
kākul kā jo halqa hai muuzī kā chañgāl hai
kyuuñ aa.e ham ai parī halchal meñ hai zindagī
aafat hai tere gale āñdhī hai bhauñchāl hai
phūloñ meñ rañgat na bū sabze ko kuuḌā kaho
pā-e-ḳhizāñ qat.a ho gulzār pā.emāl hai
dil nazar jis ne kiyā Thukrā ke us ne kahā
letī hai merī balā dargor kyā maal hai
har-dam na dekh us ke baal sar par na le ye vabāl
jī ko balā meñ na Daal ai dil ye janjāl hai
raftār kahiye use dil har qadam par pise
pūchhe koī kabk se sadqe ajab chaal hai
kyā kahiye kyā ġham sahā din-rāt rotā rahā
dil ḳhuun ho kar bahā rañgīn rūmāl hai
ushshāq kā hai ye haal din-rāt hai hāl-e-qāl
āh-o-fuġhāñ hai ḳhayāl-e-sīna-zanī taal hai
saut jafā-kesh hai āshiq jigar-resh hai
abrū hai yā niish hai bichchhū hai yā ḳhaal hai
hai kuchh na kuchh to ba-jog nāhaq nahīñ hai ye birog
kaisā lagā jī ko rog ai 'bahr' kyā haal hai
Top Urdushayar.com