Imdad Ali Bahr

gaya sab andoh apne dil ka thame ab aansu qarar aaya

Imdad Ali Bahr

1810-1878
gayā sab andoh apne dil kā thame ab aañsū qarār aayā
nasīb jaage sitāra chamkā phire din apne vo yaar aayā
kaho ye saaqī se aa ḳhudārā kare na kashtī-e-mai kinārā
ḳhudā kī rahmat ne josh maarā barastā abr-e-bahār aayā
uThā.ī kyā kyā na maiñ ne zahmat magar na kī tark us kī ulfat
rahā hamesha maiñ saaf tīnat kabhī na dil par ġhubār aayā
huā hai kyā tuur sho.ala-afshāñ bhaḌak uThī ātish-gulistāñ
jalā.e detā hai dāġh-e-hijrāñ kahāñ se uḌ kar sharār aayā
ḳhudā nibāhe ye āshnā.ī hameñ ye ulfat ke laag bhaa.ī
kisī din us par jo dhuup aa.ī yahāñ qalaq se buḳhār aayā
kaTe taḌapne meñ zindagānī na lī kisī ne ḳhabar hamārī
ye haal pūchhā ki arsh tak bhī hamārā naala pukār aayā
khaTak hai āñkhoñ meñ merī ab tak dil us kā bhī ho rahā hai dhak-dhak
na diid mujh ko huī mubārak na raas us ko siñgār aayā
kamand-e-zulf-e-rasā se baare bache to mizhgāñ ne tiir maare
ġhazab hai pesh-e-nazar tumhāre jo koī aayā shikār aayā
bichhāyā kamre meñ farsh jhaT-paT durust kī sej kī sajāvaT
sunī jo maiñ ne kisī ke aahaT gumān guzrā ki yaar aayā
kabhī jo baaje kī lahr aa.e havās uḌaa.e vo shab bajā.e
fusūñ ke boloñ pe gat banā.e chhalāvā ban kar sitār aayā
chale jo āshiq pe tīr-o-ḳhanzar huā vo sarsabz surḳh ho kar
chaḌhā sar us kā agar sināñ par nihāl-e-ulfat meñ yaar aayā
use samajhte haiñ jo haiñ ġhāzī ki sar kaTānā hai sarfarāzī
karegā kyā koī ishq-bāzī meñ jaan bad ke bidhār aayā
huī ye barbād zindagānī rahī na hastī kī kuchh nishānī
sabā ne har chand ḳhaak chhānī na haath musht-e-ġhubār aayā
ye chāhne vaale chāhte the gale kā haar apnā kar ke rakhiye
diye na kis kis ne us ko dhāge na dam meñ vo gul-ezār aayā
visāl-e-mahbūb kī tamannā kisī par iz.hār kī na aslan
qirān-e-sa.adain maiñ ne pūchhā jo koī aḳhtar-shumār aayā
chahak rahe haiñ chaman meñ bulbul mahak rahe haiñ khule hue kul
chhalak rahe haiñ piyāla-e-mul ḳhushī hai abr-e-bahār aayā
batāo ai 'bahr' apnī jab kī kisī se tum ne bhī dil-lagī kī
ḳhush aa.ī sūrat kisī parī kī kisī pe tum ko bhī pyaar aayā
Top Urdushayar.com