aisī koyal na papīhe kī hai pyārī āvāz
kyā bhalī lagtī hai kānoñ ko tumhārī āvāz
jab mujhe tum ne pukārā ye duā dī maiñ ne
rahe makke meñ madīne meñ tumhārī āvāz
aap ke bol sunā.e vo hameñ kyā qudrat
aisī paidā to kare koī sitārī āvāz
sun ke bismil hue ham naġhma-sarā.ī un kī
nahīñ ma.alūm chhurī hai ki kaTārī āvāz
be-sure sāmne us ke rahe tambūr-o-sitār
lā ke tāroñ ke juārī ne sañvārī āvāz
is tarah roiye aañsū faqat āñkhoñ se baheñ
muñh se nikle na dam-e-giryā-o-zārī āvāz
chuTkiyoñ meñ na uḌā mujh ko muġhannī batlā
saaz ke parde meñ kis kī hai ye pyārī āvāz
aise naale kiye ham ne ki galā baiTh gayā
aa.ī aafat vo gale par ki sidhārī āvāz
naach gaane meñ vo aalam hai jo dekhe vo kahe
sar-basar tum ho parī sho.ala hai saarī āvāz
'bahr' ro.e ho zarūr aaj kisī ke liye tum
surḳh surḳh āñkheñ bhī haiñ aur hai bhārī āvāz