vahī darīcha-e-jāñ hai vahī galī yaaro
magar nigāh irāda badal chukī yaaro
kitāb-e-hāl kā koī varaq nahīñ palTā
kitāb-e-ahd-e-guzishta bhī kab paḌhī yaaro
ham apne zehn kī almāriyoñ meñ DhūñDeñge
vo ek saal vo ik maah vo ghaḌī yaaro
is ek moḌ pe tanhā hamīñ akele haiñ
ki pichhle moḌ pe duniyā bhī saath thī yaaro
ḳhudā kā shukr ki sab ḳhairiyat se hai ya.anī
mire vajūd meñ halchal hai aaj bhī yaaro
ye aur baat ki un ko yaqīñ nahīñ aayā
pa koī baat to barsoñ meñ ham ne kī yaaro