Imdad Ali Bahr

aahon se honge gumbad-e-haft-asman KHarab

Imdad Ali Bahr

1810-1878
aahoñ se hoñge gumbad-e-haft-āsmāñ ḳharāb
kis kis makān ko na karegā dhuāñ ḳharāb
mar kar bhī apne saath raheñ harzā-gardiyāñ
hai musht-e-ḳhāk sūrat-e-reg-e-ravāñ ḳharāb
qāmat vo hai ki jis se qayāmat hai āshkār
naqsha vo hai ki jis se hai naqsh-e-jahāñ ḳharāb
tāb-o-tavāñ ko jism meñ yuuñ DhūñDhtī hai ruuh
jaise ġhubār-e-rāh pas-e-kārvāñ ḳharāb
nā-sāz ho mizāj to bātoñ meñ kyā mazā
bīmār kī tarah hai zabān o dahāñ ḳharāb
zevar zavāl-e-husn meñ pahnā to kyā bahār
patte sunahre sūrat-e-barg-e-ḳhizāñ ḳharāb
qitmīr se karūñgā sag-e-yār kā gilā
marqad ke ġhaar meñ jo huiiñ haDDiyāñ ḳharāb
ai 'bahr' tujh ko DhūñD phire shash-jihat meñ ham
terā patā kahīñ bhī hai o ḳhānumāñ-ḳharāb
Top Urdushayar.com