sāz-e-hastī pe abhī jhuum ke gā le mujh ko
zindagī se ye kaho aur na Taale mujh ko
maiñ ne to sub.h-e-daraḳhshāñ kī duā māñgī thī
kyuuñ mile zard charāġhoñ ke ujāle mujh ko
tujh ko paane ke liye umar gañvā dī maiñ ne
haq to bantā hai ki tū apnā banā le mujh ko
ye to saaqī kī jagah aur koī baiThā hai
ye jo gin gin ke pilātā hai piyāle mujh ko
maiñ zamāne ke jhameloñ meñ dhañsā jaatā huuñ
us se kahiye ki vo daldal se nikāle mujh ko
apnī ḳhāmosh tamannā kī aziyyat se nikal
jo sunānā hai zarā khul ke sunā le mujh ko
nā-tavānī hī mirī tāb-o-tavāñ hai 'ādil'
maiñ ne kab tujh se kahā thā ki bachā le mujh ko