Ahmad Adil

dastur tha jo gham ka purana badal gaya

Ahmad Adil

Karachi, Sindh, Pakistan

1952
dastūr thā jo ġham kā purānā badal gayā
sambhle na the abhī ki zamāna badal gayā
shikva nahīñ ki sāġhar-o-mīnā badal ga.e
TuuTā ḳhumār kaif-e-shabāna badal gayā
jo baab the aham abhī hone the vo raqam
par kyā ki likhte likhte fasāna badal gayā
mashq-e-suḳhan vahī hai mashaqqat bhī hai vahī
kaise karūñ yaqīn zamāna badal gayā
naġhma-sarā haiñ ham to usī sur meñ lai meñ haiñ
par log kah rahe haiñ tarāna badal gayā
qaa.em purāne hīloñ bahānoñ pe aaj bhī
samjhe the is kā tarz bahāna badal gayā
merī thī kyā majāl haqīqat badal sakūñ
ḳhāke tah-e-ḳhayāl banānā badal gayā
'ādil' tujhe yaqīñ nahīñ aayā na aa.egā
terā vo yār-e-ġhār purānā badal gayā
Top Urdushayar.com