Ahmad Adil

uljhan mein hast-o-bud ki yun mubtala hun main

Ahmad Adil

Karachi, Sindh, Pakistan

1952
uljhan meñ hast-o-būd kī yuuñ mubtalā huuñ maiñ
ḳhud apnā aks huuñ ki tirā aa.ina huuñ maiñ
mujh ko kiyā hai lā.iq-e-sajda isī liye
ajzā-e-kā.enāt meñ sab se judā huuñ maiñ
tū ek hai magar haiñ tire an-ginat majāz
har aa.ine meñ tere numāyāñ huā huuñ maiñ
tishna-labī meñ zabt ho aur vo bhī us ghaḌī
jab ittifāq se lab-e-dariyā khaḌā huuñ maiñ
mānind-e-kahkashāñ ye miTātī hai tīrgī
paḌh kar kitāb-e-ishq ko raushan huā huuñ maiñ
āsūdgī ko chhoḌ vo hāsil rahī mujhe
lekin mohabbatoñ ko tarastā rahā huuñ maiñ
dariyā sifat bhī ho ke na sairāb kar sakā
barse binā jo chhaT ga.ī aisī ghaTā huuñ maiñ
dast-e-jafā se jis ke ye vahshat mujhe milī
us ko bhī hai gila ki darinda-numā huuñ maiñ
tanhā.ī meñ ik ālam-e-imkāñ basā liyā
'ādil' yuuñ apne aap meñ kuchh DhūñDhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com