Ahmad Adil

yun sukunat ki talabgar hui jati hai

Ahmad Adil

Karachi, Sindh, Pakistan

1952
yuuñ sukūnat kī talabgār huī jaatī hai
zindagī sāya-e-dīvār huī jaatī hai
har mulāqāt pe kuchh aur bahaktī nazreñ
kyā tirī zaat pur-asrār huī jaatī hai
sub.h kahtī hai mire saath chalo aage baḌho
mat kaho ziist girāñ-bār huī jaatī hai
yuuñ samā.ī hai tirī saañs mirī sāñsoñ meñ
har nafas garmī-e-afkār huī jaatī hai
Dagmagā kar hī mirī ziist sambhaltī hai zarā
kaun kahtā hai ki be-kār huī jaatī hai
ruuh to jism se rishte ko nibhāne ke liye
maut se barsar-e-paikār huī jaatī hai
justujū us kī agar koī ḳhatā hai 'ādil'
ye ḳhatā mujh se lagātār huī jaatī hai
Top Urdushayar.com