nishāñ manzil kā batlāyā na mujh ko ham-safar jaanā
tazabzub meñ paḌā hai vo jise maiñ ne ḳhizar jaanā
nazar merī basīrat ko sadā mahdūd rakhtī hai
pas-e-manzar nahīñ dekhā faqat pesh-e-nazar jaanā
jahāñ taqdīr le jaa.e vahāñ raste nahīñ jaate
kiyā thā ruḳh idhar kā kyuuñ likhā thā jab udhar jaanā
havāla zindagī kā bhī tumhārī zulf jaisā hai
bikharnā phir sañvar jaanā sañvarnā phir bikhar jaanā
junūñ kī raah ko ab tak samajh paa.e nahīñ sāhab
ki apne jism ko Dhā kar faqat jaañ se guzar jaanā
Duboyā jis ne kashtī ko use hī nā-ḳhudā samjhe
diye the jis ne saare dukh usī ko chāragar jaanā
unhīñ tārīk rāhoñ se guzarnā hai tumheñ 'ādil'
charāġh-e-jāñ jalā kar tum bilā ḳhauf-o-ḳhatar jaanā