Ahmad Adil

azal se be-sabaati ka gila tha

Ahmad Adil

Karachi, Sindh, Pakistan

1952
azal se be-sabātī kā gila thā
magar insān ḳhud kam-hausla thā
jise samjhe samundar kī ravānī
sabīl-e-zindagī kā bulbula thā
ajab sī thī masāfat tīrgī kī
chalā thā gir paḌā thā phir chalā thā
har ik lamha rifāqat kā hamārī
dhanak ke saat rañgoñ se sajā thā
tavāzun thā zarūrī zindagī meñ
talavvun kā magar apnā mazā thā
khaḌā thā maiñ pashemāñ phir vahīñ par
jahāñ se laġhzishoñ kā silsila thā
kabhī sochā bhī 'ādil' kyuuñ milā sab
huā hāsil vahī jo de chukā thā
Top Urdushayar.com