Ahmad Adil

humse to rah-o-rasm hai aghyar ki tarah

Ahmad Adil

Karachi, Sindh, Pakistan

1952
ham se to rāh-o-rasm hai aġhyār kī tarah
duniyā pe mehrbān haiñ ġham-ḳhvār kī tarah
kam-mā.egī na pūchh mirī bazm-e-ġhair meñ
uThtī hai har nigāh ḳharīdār kī tarah
maiñ tājirān-e-ishq ke baare meñ kyā kahūñ
in kā junūñ hai garmī-e-bāzār kī tarah
ḳhud-sāḳhta butoñ ko maiñ ab toḌ-tāḌ kar
pūjūñgā bas usī ko parastār kī tarah
zauq-e-nazar ko aap samajhte haiñ gar gunāh
nādim khaḌā huuñ maiñ bhī gunahgār kī tarah
dekhī hai maiñ ne shāḳh se pattoñ kī ruḳhsatī
jaane na dūñgā ab tujhe har baar kī tarah
zād-e-safar kī fikr na manzil kā ho ḳhayāl
rāh-e-talab meñ aao talabgār kī tarah
chāhā hai tum ko yuuñ ki tumheñ bhī ḳhabar na ho
sochā hai tum ko an-kahe ash.ār kī tarah
kahne ko koī band-o-salāsil nahīñ magar
sab haiñ fasīl-e-jāñ meñ giraftār kī tarah
'ādil' ruḳh-e-nigār nahīñ dil kā aa.ina
iqrār-e-ḳhās hotā hai inkār kī tarah
Top Urdushayar.com