Imdad Ali Bahr

bad-talai ka ilaj kya ho

Imdad Ali Bahr

1810-1878
bad-tāla.ī kā ilaaj kyā ho
āzār bhī ho to lā-davā ho
ā.īne kī shakl ḳhud-numā.ī ho
be-dīd ho sūrat-āshnā ho
husn-e-namkīn ko le ke chāTeñ
jab apnī hī ziist be-mazā ho
ai dard-e-firāq ke marīzoñ
gharrā lage is tarah karāho
mahram ke jo band khol de yaar
bañgla mire haq meñ dil-kushā ho
kyā hai mujhe dete ho gilaurī
chūne meñ kahīñ na sañkhiyā ho
dekhe na mizha kī sozan aise
se ve jo kisī kā dil phaTā ho
qaazī ko jo riñd kuchh chaTā deñ
masjid kī baġhal meñ mai-kada ho
paayā na mizāj mar miTe ham
kyā jāniye kis ke āshnā ho
maġhrūr ho apne husn par yaar
kyā ġham koī ḳhush ho yā ḳhafā ho
yaar aa.e jo mere ghar murād aa.e
jāgeñ jo nasīb rat-jagā ho
saa.e se tumhāre bach ke chaliye
dīvāna banāne ko balā ho
mash.al na savārī meñ rahe saana
ghoḌā na kahīñ charāġh-pā ho
vo chaal chalo ki dil ho tasḳhīr
hub kā ta.avīz naqsh-e-pā ho
chāhūñ jo falak se farsh-e-mātam
TuuTā bhī na guhar meñ na boriyā ho
phir merī taraf phirā vo qātil
tasma na kahīñ lagā rahā ho
jo ek kahoge do sunoge
parvāh nahīñ ḳhush ho yā ḳhafā ho
mumtāz haiñ kushtagān-e-ma.ashūq
hai ain karam agar jafā ho
vo merī jo boTiyāñ uḌā.īñ
jarjīs kā martaba atā ho
dam nikle hujūm-e-ġham meñ kyuuñ kar
kuchh bhiiḌ chhaTe to rāsta ho
duniyā se uThe marīz-e-furqat
ai dār-e-masīh tū asā ho
sabze meñ chah-e-zaqan hai ḳhas-posh
aisā na ho ḳhizr se daġhā ho
ham zaḳhm-e-jigar nahīñ dikhāte
āñkheñ na churāo ḳhush-nigāho
pesh aao har ik se ā.īna-dār
begāna ho yā ki āshnā ho
sīkho ye tarīq-e-ādamiyat
jo chaal chalo use nibāho
talvār abrū kī vo ḳharīdī
jo muft sar apnā bechtā ho
chamke jo sitāra-e-bulandī
tā.ūs-e-falak mujhe humā ho
ai 'bahr' nahīñ hai un talavvun tel
maftūñ na kisī ke ḳhaal kā ho
Top Urdushayar.com