Ahmad Adil

bas har ek raat yahi jurm kiya hai maine

Ahmad Adil

Karachi, Sindh, Pakistan

1952
bas har ik raat yahī jurm kiyā hai maiñ ne
lā ke ḳhvāboñ meñ tujhe dekh liyā hai maiñ ne
har baras ziist kā lamha sā lagā hai lekin
ba.az lamhoñ meñ to sadiyoñ ko jiyā hai maiñ ne
chhūTe jaate haiñ sabhī ahal-e-ḳharābāt-e-junūñ
kyā ajab aql se saudā ye kiyā hai maiñ ne
sāġhar-e-marg ko suqrāt ne pī kar ye kahā
zindagī tere liye zahr piyā hai maiñ ne
apne har ḳhvāb kī ta.abīr ko paane ke liye
ik samundar thā jise paar kiyā hai maiñ ne
tum nahīñ jānte maqtal se Darāne vaalo
jaañ kā nazrāna ka.ī baar diyā hai maiñ ne
kaise mumkin hai ki maiñ tujh se tirī baat karūñ
tere kahne pe to hoñToñ ko siyā hai maiñ ne
mai-kashī meñ bhī ka.ī daur guzāre 'ādil'
kabhī chullū kabhī sāġhar se piyā hai maiñ ne
Top Urdushayar.com