ham apne zaḳhm sabhī ko dikhā nahīñ sakte
jo shikva tum se hai sab ko sunā nahīñ sakte
mire ḳhayāl kī gahrā.ī ko zarā samjho
ki sirf lafz to matlab batā nahīñ sakte
malāl ye hai ki saaqī to ban ga.e sāhab
sharāb haath meñ hai aur pilā nahīñ sakte
ajab hai phuul kī fitrat use masal kar tum
mahakte hāthoñ kī ḳhushbū chhupā nahīñ sakte
likhā gayā jo muqaddar meñ harf-e-āḳhir hai
tum apnī marzī se is ko miTā nahīñ sakte
hazāroñ hiile bahāne tarāsh lo phir bhī
tum apne chehre kī ḳhiffat chhupā nahīñ sakte
ab ek ham haiñ ki sadiyāñ guzār deñ 'ādil'
aur ek vo haiñ ki lamha batā nahīñ sakte