masrūf rahguzar pe chalā jā rahā thā maiñ
phir kyuuñ lagā ki sab se judā jā rahā thā maiñ
ta.amīr-e-zāt hī meñ lagī zindagī tamām
ḳhāliq banā rahā thā banā jā rahā thā maiñ
hāsil thiiñ jin ko rāhateñ vo bhī fanā hue
kyuuñ apnī muflisī se Darā jā rahā thā maiñ
dariyā-e-zīst kī yahī manzil thī āḳhirī
ik bahr-e-be-karāñ meñ girā jā rahā thā maiñ
samjhā thā aa.ine meñ mirā aks hī nahīñ
zāhir thā aur sab se chhupā jā rahā thā maiñ
pahle to kū-e-yār kī phir daar kī talab
daldal meñ ḳhvāhishoñ kī dhañsā jā rahā thā maiñ
maiñ gard-e-rāh thā magar e.ajāz dekhiye
har kārvāñ ke saath uḌā jā rahā thā maiñ
rukne meñ Dar ye thā ki tavāzun bigaḌ na jaa.e
'ādil' isī gumāñ meñ chalā jā rahā thā maiñ