ye āgahī hai jo kartī hai mujh ko zaat meñ gum
phir is ke ba.ad maiñ hotā huuñ shash-jahāt meñ gum
ye kā.enāt mirī jaan qufl-e-abjad hai
maiñ kholtā huuñ ise kar ke mumkināt meñ gum
ye dā.ere haiñ tumheñ phir se qaid kar leñge
fanā se nikle to ho jāoge sabāt meñ gum
maiñ karbalā huuñ mujhe dekh merī qāmat dekh
zamāna kar nahīñ saktā mujhe furāt meñ gum
tirī judā.ī kā nīlam alag se rakkhā hai
kiyā nahīñ use duniyā ke zevrāt meñ gum
mirā buḌhāpā mirī ruuh kī talāsh meñ hai
mirī javānī badan ke lavāzimāt meñ gum
maiñ ilm huuñ mujhe tasḳhīr karnā aatā hai
vo jahl thā jo huā terī kā.enāt meñ gum