Nazir Wahid

dhaDkanen mohabbat ki dil-nashin KHamoshi

Nazir Wahid

Rampur, Uttar pradesh, India

1987
dhaḌkaneñ mohabbat kī dil-nashīn ḳhāmoshī
marhabā ai hañgāmo āfrīn ḳhāmoshī
kaj-bayāñ Thikānoñ se duur ik ḳharābe meñ
ghar banā ke rahtī hai ik zahīn ḳhāmoshī
shaam hai ye va.ade kī ishq ke irāde kī
ik javāñ sā sannāTā ik hasīn ḳhāmoshī
sāmne jo aa jā.ūñ kaifiyat hayā kī phir
Taañk degī palkoñ par nāznīn ḳhāmoshī
TuuT kar jo bikhrūñgā dekh legī duniyā phir
ik makāñ mohabbat kā aur makīn ḳhāmoshī
guftugū to tujh se thī rū-ba-rū maiñ ḳhud se thā
ik falak sā hañgāma ik zamīn ḳhāmoshī
bevafā ḳhayāloñ se zaḳhm ke havāloñ se
kyā savāl kartī phir vo hasīn ḳhāmoshī
Top Urdushayar.com