Nazir Wahid

humne jalte hue KHemon ki wo shaMein rakh din

Nazir Wahid

Rampur, Uttar pradesh, India

1987
ham ne jalte hue ḳhemoñ kī vo shāmeñ rakh diiñ
sher meñ lafz rakhe lafz meñ chīḳheñ rakh diiñ
maiñ ne bhī us ko diyā pahlī mulāqāt meñ dil
mere dāman meñ bhī us ne mirī ġhazleñ rakh diiñ
yuuñ lagā aañkh bachāne pe jhapaktī hai palak
usī tasvīr pe maiñ ne bhī nigāheñ rakh diiñ
raushnī ke har ik imkān pe Daalā pardā
ek laḌkī ne mirī soch pe zulfeñ rakh diiñ
phir uThā yaad ke āñgan se udāsī kā dhuāñ
kis ne tāqoñ meñ jalā kar mirī shāmeñ rakh diiñ
ishq itnā thā ki mahfūz kahāñ rakhte ham
aur maañ baap ne baste meñ kitābeñ rakh diiñ
pesh jab karne lage sab tire jalvoñ ko ḳhirāj
ham ne bhī lā ke vahāñ tasht meñ āñkheñ rakh diiñ
Top Urdushayar.com