Nazir Wahid

palkon se aasman ko ishaara karo kabhi

Nazir Wahid

Rampur, Uttar pradesh, India

1987
palkoñ se āsmāñ ko ishāra karo kabhī
aañsū hamāre ġham kā sitāra karo kabhī
mausam javāñ huā hai bahāroñ ke nuur se
hāthoñ meñ haath Daale nazāra karo kabhī
tanhā.iyoñ kī rātoñ meñ ab ham se sharm kyā
malbūs ḳhāmushī kā utārā karo kabhī
dahlīz par khaḌe yuuñ sar-e-rāh-e-raftagāñ
apnā bhī intizār gavārā karo kabhī
dil shai ajiib hai kahīñ ham lauT hī na jaa.eñ
is ehtiyāt se na pukārā karo kabhī
ye jaañ tumārī nazr hai chāhe to jaan lo
ye dil tumhārā ghar hai sañvārā karo kabhī
Top Urdushayar.com