tire kānoñ meñ koī baat batānī thī hameñ
dil meñ sakhiyoñ ke tirī aag lagānī thī hameñ
hameñ bāzār ne Thukrāyā to ghar lauTe haiñ
ik mohabbat to bahr-e-hāl nibhānī thī hameñ
chāñdnī aap kī āñkhoñ meñ bhalī lagtī hai
ho ijāzat to zarā umr bitānī thī hameñ
rañg darkār the ham ko tirī ḳhāmoshī ke
ek āvāz kī tasvīr banānī thī hameñ
hameñ cigarette bhī to piinī thī nikal kar ghar se
apnī uñglī pe ye duniyā bhī nachānī thī hameñ
tazkira is kā nahīñ ishq bachāyā kis ne
mas.ala ye thā ki ab jaan bachānī thī hameñ
aaj ham us ke dupaTTe kī mahak se haiñ bañdhe
vahī laḌkī jo kabhī dushman-e-jānī thī hameñ