Anwar Siddiqui

azab-e-ham-safari se gurez tha mujhko

Anwar Siddiqui

Chail, Uttar pradesh, India

1928
azāb-e-ham-safarī se gurez thā mujh ko
pukārtā rahā ik ek qāfilā mujh ko
maiñ apnī lauTtī āvāz ke hisār meñ thā
vo lamha jab tirī āvāz ne chhuā mujh ko
ye kis ne chhīn liye mujh se ḳhushbuoñ ke makāñ
ye kaun dasht kī dīvār kar gayā mujh ko
ujāltī nahīñ ab mujh ko koī tārīkī
sañvārtā nahīñ ab koī hādsa mujh ko
bujhā bujhā sar-e-mehrāb duur baiThā thā
koī charāg samajh kar jalā gayā mujh ko
maiñ kaise apne bikharne kā tujh ko duuñ ilzām
zamānā ḳhud hī bikhartā huā milā mujh ko
Top Urdushayar.com