merī nazar ke liye koī rivāyat na thī
sab kī tarah dekhnā jabr thā aadat na thī
aisā lagā jaise maiñ manzar-e-mānūs thā
us kī nigāhoñ meñ kal shoḳhī-e-hairat na thī
mere shab o roz the merī sadī kī tarah
kaun sā lamha thā vo jis meñ qayāmat na thī
pairahan-e-jism-o-jāñ zaḳhm-e-sitam thā tamām
kaisā sitam-gar thā vo koī jarāhat na thī
kab kisī dīvār se sail-e-tamannā rukā
garm lahū kī kabhī koī sharī.at na thī
kitne subuk-dil hue tujh se bichhaḌne ke ba.ad
un se bhī milnā paḌā jin se mohabbat na thī