Anwar Siddiqui

hujum shoala mein tha halqa-e-sharar mein tha

Anwar Siddiqui

Chail, Uttar pradesh, India

1928

hujūm sho.ala meñ thā halqa-e-sharar meñ thā

kab apnā ḳhvāb meñ koī sāya-e-shajar maiñ thā

maiñ aaj phir tujhe kyā dekh pā.ūñgā duniyā

vo shaḳhs der talak aaj phir nazar meñ thā

siyah fazāoñ meñ ūñchī uḌaan se pahle

kiran kiran ujālā baal o par meñ thā

ḳhunuk fazāoñ meñ us dasht-e-ġham ke aane tak

hamāre saath koī aur bhī safar meñ thā

sharar sharar the jo lamhe hasīn lagte the

jo lutf thā bhī to kuchh qurb-e-muḳhtasar meñ thā

bikhar ke TuuT ga.e ham bikhartī duniyā meñ

ḳhud-āfrīnī saudā hamāre sar meñ thā

Top Urdushayar.com