Anwar Siddiqui

Duboe deta hai KHud-agahi ka bar mujhe

Anwar Siddiqui

Chail, Uttar pradesh, India

1928
Dubo.e detā hai ḳhud-āgahī kā baar mujhe
maiñ Dhaltā nashsha huuñ mauj-e-tarab ubhār mujhe
ai rūh-e-asr meñ terā huuñ terā hissa huuñ
ḳhud apnā ḳhvāb samajh kar zarā sañvār mujhe
bikhar ke sab meñ abas intizār hai apnā
jalā ke ḳhaak kar ai sham-e-intizār mujhe
sadā-e-rafta sahī lauT kar maiñ ā.ūñgā
farāz-e-ḳhvāb se ai zindagī pukār mujhe
azaab ye hai ki mujhe jaise phuul aur bhī haiñ
salīb-e-shāḳh se dast-e-ḳhizāñ utaar mujhe
ġharīb-e-shahr navā hī sahī magar yaaro
bahut hai apnī hī āvāz kā dayār mujhe
Top Urdushayar.com