bashar roz-e-azal se shefta hai shān-o-shaukat kā
anāsir ke muraqqe meñ bharā hai naqsh daulat kā
azal ke din se ġham mushtāq thā jo merī ḳhilqat kā
banāyā āñsuoñ se gūñdh kar putlā kudūrat kā
muqaddar ne diyā hai haath meñ kaasa halākat kā
gadā huuñ us parī-paikar kā jo TukḌā hai aafat kā
rahe sīna-sipar har-dam ye jauhar hai mohabbat kā
kabhī lohā na maanā yaar kī teġh-e-adāvat
dikhāyā us ne ban-Than kar vo jalva apnī sūrat kā
ki paanī phir gayā ā.īne par dariyā-e-hairat kā
ḳhudā ābād rakkhe lucknow ke ḳhush-mizājoñ ko
har ik ghar ḳhāna-e-shādī hai har kūcha hai ishrat kā
shab-e-vaslat to jaate jaate andhā kar ga.ī mujh ko
tum ab bahrā karo sāhab sunā kar naam ruḳhsat kā
mare jis par na chaar aañsū bahā.e us ne murde par
huā sābit ki paanī bah gayā chashm-e-muravvat kā
jalā.e dost yā ThanDā kare dil jo razā us kī
na dozaḳh se mujhe nafrat na maiñ mushtāq jannat kā
na hogā farq nuqte kā milā kar dekh le koī
mire āmāl-nāme se navishta merī qismat kā
jo shāmil hai karam us kā to kyā ġham kisht-e-uqbā kā
siyah-nāmī se apne kaam lūñgā abr-e-rahmat kā
ḳhudā ne dī hai lazzat ġham-ḳhurī kī ḳhush-mazāqoñ ko
lahū kī ghūñT piine meñ mazā miltā hai sharbat kā
har ik tasvīr hai sānī-e-yūsuf apne aalam meñ
zarā yāqūb dekhe to muraqqa.a us kī qudrat kā
yad-e-baizā ke daste aage aage le chale muusā
shab-e-me.arāj ko raushan huā haal us kī azmat kā
ziyāda chāñd sūraj se tirā nuur āshkārā hai
na dekheñ terā jalva ham qusūr apnī basārat kā
vo aalam hai na ġham se ġham na shādī se mujhe shādī
barābar mere mīzāñ meñ hai palla rañj-o-rāhat kā
tumhārī fitna-e-qāmat ne aisā ro.ab bāñdhā hai
qadam-bhar bhī qadam aa ke nahīñ baḌhtā qayāmat kā
shahīdān-e-ḳhudā mujh ko bhī thoḌī se jagah denā
na ho barbād merī ḳhaak sadqa apnī turbat kā
shab-e-vasl-e-sanam kā ḳhātma bil-ḳhair ho yārab
na āñkhoñ par kahīñ phir jaa.e chūnā sub.h-e-furqat kā
halāvat zindagī kī hai mulāqāt-e-ahibbā meñ
mazā murde ko tanhā.ī kā hai zinde ko sohbat kā
mazā ishq-e-haqīqī meñ na kuchh ishq-e-majāzī meñ
ḳhudā se ġham duī kā hai sanam se rañj furqat kā
chhurī nā-qadrdānoñ kī ravāñ hai ahl-e-jauhar par
kafan ko yaad karnā 'bahr' dhyān aa.e jo ḳhilqat kā