ye kyā kahā mujhe o bad-zabāñ bahut achchhā
sunā lī aur bhī do gāliyāñ bahut achchhā
tumheñ to aur bhī ashḳhās pyaar karte haiñ
hameñ ye jaur-o-jafā mehrbāñ bahut achchhā
kisī pe yuuñ nahīñ paḌtī nigāh-e-ḳhūn-ā-shām
hamīñ haiñ tīr-e-sitam ke nishāñ bahut achchhā
na ho do-chār na bolo na iḳhtilāt karo
bahut bajā bahut insab miyāñ bahut achchhā
jo maiñ burā to burā aur sab to achchhe haiñ
milo jahāñ se jān-e-jahāñ bahut achchhā
burā bhalā hameñ kahne se fā.eda kyā hai
chaman se jaate haiñ ai bāġhbāñ bahut achchhā
hamāre rahne se tujh ko jo aag lagtī hai
jalā.e dete haiñ ham āshiyāñ bahut achchhā
kabhī jo rote haiñ jhuñjhlā ke yaar kahtā hai
maiñ sun rahā huuñ karo tum fuġhāñ bahut achchhā
ḳhafā na ho na karūñgā bakā bahut behtar
na hoñge ab kabhī aañsū ravāñ bahut achchhā
jo zindagī hai to jiitā rahūñgā furqat meñ
sad hāriye mirī ārām-e-jāñ bahut achchhā
nisār lā ki sar aise tumhārī qadmoñ par
kareñge aap mirā imtihāñ bahut achchhā
ḳhudā ne nuur ke sāñche meñ tujh ko Dhālā hai
hazār meñ hai tū ai naujavāñ bahut achchhā
mire nigāh meñ tū huur se kahīñ behtar hai
maqām-e-ḳhuld se terā makān bahut achchhā
bahut pasand hai mujh ko ye bol-chāl a 'bahr'
qasam ḳhudā kī ye tarz-e-bayāñ bahut achchhā