bachpan ke haiñ ḳhvāb suhāne titlī phuul aur maiñ
kahāñ se laa.eñ ab vo zamāne titlī phuul aur maiñ
nafrat se hai nafrat ham ko priit hamārī riit
pyaar ke haiñ anmol ḳhazāne titlī phuul aur maiñ
dard rutoñ kī ḳhushbū sāñjhī ek hī jaisā rog
DhūñD rahe haiñ saath purāne titlī phuul aur maiñ
jīvan-rāh meñ kaun kahāñ par bichhḌe kyā ma.alūm
mil lete haiñ kisī bahāne titlī phuul aur maiñ
chāñd sitāre ḳhushbū shabnam sabza rañg havā
qudrat ke rañgīn fasāne titlī phuul aur maiñ