Chandrabhan Khayal

sard sannaTon ki sab sargoshiyan le jaunga

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
sard sannāToñ kī sab sargoshiyāñ le jā.ūñgā
maiñ jahāñ bhī jā.ūñgā dil kī zabāñ le jā.ūñgā
shahar chhoḌūñgā to ro.eñgī miloñ kī chimniyāñ
dekhnā ik roz maiñ saarā dhuāñ le jā.ūñgā
vo jahāñ chāhe chalā jaa.e ye us kā iḳhtiyār
sochnā ye hai ki maiñ ḳhud ko kahāñ le jā.ūñgā
sat.h-e-dariyā raqs meñ hai aaj mujh ko dekh kar
aaj maiñ us paar apnā kārvāñ le jā.ūñgā
vo agar do-chār qatroñ se navāzegā to kyā
ek ik qatre meñ bahr-e-be-karāñ le jā.ūñgā
manzaroñ ko kyā ḳhabar hogī ki un ke vāste
qurbateñ taqsīm kar ke dūriyāñ le jā.ūñgā
jin añdheroñ se tumheñ har-vaqt vahshat hai ḳhayāl
un añdheroñ tak tumhārī dāstāñ le jā.ūñgā
Top Urdushayar.com