Chandrabhan Khayal

sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
sirf ik hadd-e-nazar ko āsmāñ samjhā thā maiñ
āsmānoñ kī haqīqat ko kahāñ samjhā thā maiñ
ḳhud milā aur mil ke vo apnā pata bhī de gayā
jabki saarī kāvishoñ ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
zindagī kā rañg pahchānā gayā jiine ke ba.ad
duur se us rañg ko uḌtā dhuāñ samjhā thā maiñ
mehrbānoñ se hamesha hī rahe shikve gale
aur har nā-mehrbāñ ko mehrbāñ samjhā thā maiñ
de rahā thā vo sadā.eñ aur maiñ ḳhāmosh thā
kashmakash kī us ghaḌī ko imtihāñ samjhā thā maiñ
ho gayā huuñ qatl be-rahmī se un ke sāmne
haif jin logoñ ko apnā pāsbāñ samjhā thā maiñ
paas se dekhā to jaanā kis qadar maġhmūm haiñ
an-ginat chehre ki jin ko shādmāñ samjhā thā maiñ
Top Urdushayar.com